======viraanian=========

Saturday, March 17, 2007
andheron me baithe hain viranian bhi sath hain,

ek chaand door gagan me ek ye ungta hua pedh,

lagta hai inme baaten kuchh khaas hain,

jaise lataaon se lipti hui ye bela,

waise hiridaye liptna chahata tumhare sath hai,

jis pal bhi yaad aati hai is dil ko tumhari,

to lagta hai ki bas yahi pal beeta tumhare sath hai,

ichhaon ka unnt nahi hota {gareeb} kabhi,

aaj ye baat mujhe lagi saaf saaf hai,

marti hui ashaon ko phirse jagaja {Geetika},

ek baar kehja ki tujhe mujhse pyaar hai,

bas ek baar kehja tujhe mujhse pyaar hai.

=======================================

Rajan {gareeb}


ye sheyar mera nahi hai chuunki chaand ki baat chali to yakaayak yaad
aa gai ye lines.

==========UNKNOWN============

chand ko chandni par guroor hai,

kyonki chandni usska noor hai,

hum kispar guroor karen kyonki,

humara to chaand hi humse door hai,

===================================

By {UNKNOWN}

{Shiv kya hain}==

Tittle:- {Shiv kya hain}

Shiv hi sundar hain, Shiv hi satteya hain,

Shiv hi sawaas hain, Shiv hi wishwaas hain,

Shiv hi aaradhna hain, Shiv hi saadhna hain,

Shiv hi shakti hain, Shiv hi bhakti hain,

Shiv hi muurtimaan hain, Shiv hi keertiwaan hain,

Shiv hi parmeshwar hain, Shiv hi natwar hain,

Shiv hi sarvada hain, Shiv hi sarvwayapak hain,

Shiv hi soomnaath hain,Shiv hi deenanaath hain,

Shiv hi nishtha hain, Shiv hi aastha hain,

Shiv hi pooja hain, Shiv hi paavan hain,

Shiv hi parampita hain, Shiv hi aatma hain,

Shiv hi sampoorn hain, Shiv hi samarpan hain,

Shiv hi raameshwar hain, Shiv hi wishweshwar hain,

Shiv hi gangadhar hain, Shiv hi chandrshekhar hain,

Shiv hi deya hain, Shiv hi kshamaa hain,

Shiv hi paap ke naashaq hain, Shiv hi kaam bhasmakar hain,

Shiv hi trimurti hain, Shiv hi bheemshankar hain,

Shiv hi neelkanth hain, Shiv hi shankar hain,

Shiv hi saral hain, Shiv hi sharadhha hain,

Shiv hi shanti hain, Shiv hi mooksh hain,

Shiv surya kaprakaash hain, Shiv chandrma ki sheetalta hain,

Shiv hi aashutosh hain, Shiv hi sushobhit hain,

Shiv hi guru hain, Shiv hi roodra hain,

Shiv hi aseem hain, Shiv hi ajanme hain,

Shiv nirmal hain, Shiv hi soomeya hain,

Shiv ki rachna saat samundar hain, Shiv hi jyotir ling hain,

Shiv hi shweyet hain, Shiv hi har rung me hain,

Shiv hi avinashi hain, Shiv hi gyaan ka saagar hain,

Shiv bhakton ke bass me hain, Shiv hi nahate bhakti rass me hain,

Shiv hi oonkaar hain, Shiv hi nirakaar hain,

Shiv hi OOOOOOMMM hain, Shiv hi ardnaareshwar hain,

Shiv hi sarpon k bhushan dharak hain,Shiv hi bhasm rammiya hain,

Shiv hi paarwati wallabh hain, Shiv hi nandikeshwar hain,

Shiv hi deyawaan hain, Shiv hi purshotam hain,

Shiv tripurari hain, Shiv hi trinetra hain,

Shiv hi agni ka taap hain, Shiv hi jall ka bahaav hain,

Shiv hi waayu ka wegh hain, Shiv hi mahaadev hain,

Shiv hi panchakshri muntra hain, Shiv mahaa tapasvi hain,

Shiv hi bholenaath hain, Shiv hi shambhoo hain,

Shiv hi sugandh hain, Shiv ke waakya amrait hain,

Shiv hi mahamritunjaya hain, Shiv niranjan hain,

Shiv hi veedon ka saar hai, Shiv hi triloki naath hain,

Shiv aaradhniya hain, Shiv poojniya hain,

Shiv hi lagan hain, Shiv hi shalook hain,

Shiv prarthna maatr se prasann ho jaate hain, Shiv hi dhyaan hain,

Shiv hi saache munmeet hain, Shiv hi samaye ki gati hain,

Shiv hi trishool dhari hain, Shiv hi sanjeevni hain,

Shiv hi ahankaar ke naashaq hain, Shiv hi baadhyanaath hain,

Shiv subke sahaayak hain, Shiv subke mun ki jaan-ne wale hain,

Shiv ka naam sampooran hai, Shiv ka sewadaar sudarshan hai,

Shiv naarad ji ki waani hain, Shiv hi veena ki taan hain,

Shiv hi shabd hain, Shiv hi sawar hain,

Shiv hi geet hain, Shiv hi sangeet hain,

Shiv hi deepak ki paawan jyoti hain, Shiv karuna k ujjwal moti hain,

{108} shiv ke naam

Saar:- jub iss {gareeb} ne apne shabd koosh me shiv ko khoojne ki
koshish kee to paaya ki shiv ki shabdon me uppma hi nahi kee jaa
sakti.

joo bhi issko padhe kam se kam ek baar sachche dil se mere naath k
naam ko paanch baar dohraaye aap sub ka mungal karen mere Bhoolenaath

=========================Har Har Maahadev======================

Rajan {gareeb}



=======haq======

main aaj ki poem pesh-e-khidmat kar raha hun. issme maine iss zamaane
k thekedaaron k khilaaaf aawaaz uthaie hai.

=======haq======

baateN kuchh yahi seekhi haiN zamaane se,

kuchh nahi milta yahaN aaNsu bahane se,

apne pyaar ko chheen-na seekh loo tum,

na hoga kuchh haNsil uuN sir jhukaane se,

kyoN jee rahe ho ghut-ghut kar khudmeN,

takraa jaao tum iss mutthi bhar zamane se,

uthaao haath oor cheen loo apni khushiyaN

kuchh na hoga{gareeb}shairi me dard ko dabane se,

===============================================

Rajan {gareeb}


======={pagli}========

iss paagal ne tumhe bhi pagli apne rang me ramaa liya,

tune juton ki polish ko kajal sa aankhon me sajaa liya?

toot chuka tha khud main duniya ke patthar kha-kha kar,

oor tune iss {gareeb} ko apnaa, apna sajan banaa liya?

armaan kab se soeye huye the barbaadi ka kafan aadh kar,

tumne ussi kafan ko le apne sar ka aanchal banaa liya?

ghoom raha tha ek aawaara paagal sa insaanon ki basti me,

tune usko utha kar bhagwaan saa man-mandir me basaa liya?

======================================================

waise to iss kavita par bahut mails mile hain par Isspar meri ek
mureed ne mujhe kya likh kar bheja hai wo main aapko post karunga
kall. usne bhi shayarana andaaz me likha hai halan ki wo shaira nahi
hai.main uska aabhar prakat karne k roop me uska likha sub ko sunana
chahunga jub bhi main kisi ko "pagli" kavita sunaunga.

Rajan {gareeb}

Rajan ji,
aap ki shayari laho se mil jati hain aur sidha dil par pahoch jati
hain hum shayarya tho nahin magar aap ko padha apki shayari dekh kar
hum bhi shayar ban gaye. hum aap jayse ustad tho nahi jiske paas itna
anmool khajana ho bas thoda property bana rahen hain.

aur woh ladki apne uss pagal premi se kahegi
=========================================
is pagli ko thumhara sacha rang bhaa gaya

is rang me rang kar hum bhi duniya ko bholana chahte hain

tumhare toote hue dil ko jodna chahte hain

aur usse jodh kar humara ek ghar banana chahte hain

tumhare armaan jo sokar marne ka natak rach rahe hain

hum to bass usse neend se jagana chate hain

woh insaan pagal hain jo tumhe samjh na paya

tumahare andar ke insaan ko jaan na paya

hum bas tumhare mandir ke dasi banana chahte hain

=================================================BY sasi



== Mrig-Nayana ==

========================
== Mrig-Nayana ==
========================
Jaan Lo Iss kavi Ney
Prem Mein kayee Pall Bitaye
Mrig-Nayana, Yovana Ko
Kanth Sey Apney Lagaye.

Jaanta Tha...
Jaanta Tha Baandh Leingey
Naag Se Vo Kesh Kaley
Aur Jeevan Har Bhi Leingey
Viyog Mein Uss Key Akeyley
Par Nisha...
Par Nisha Key Kaal Mein,
Swapan Mainey They Sajaye
Mrig-Nayana, Yovana Ko
Kanth Sey Apney Lagaye.
Jaan lo Iss Kavi ....

Jabb Vyakul Mein Hua Tha,
Shok Mein, Santaap Mein
Aur Aatankit Hua tha,
Prem Key Aabhaav Mein
Chandrr-Kanta Uss Sakhi Ney
Mujh Tabb Tha Thaam Liya
Chor-Doon Kyun Uss Hiya ko,
Iss Vishva Key Prabhav Mein
Jaan lo Iss Kavi ....
Jaan Lo Iss kavi Ney
Prem Mein kayee Pall Bitaye
Mrig-Nayana, Yovana Ko
Kanth Sey Apney Lagaye.


Ripudaman




=====be-wa-fa====

jo mujhe hasaya karte the aaj rulane lage hain,

khushiyan dene ka wada kerke sataane lage hain,

kabhi jo rote the mere dukh ko aapna samajh ker,

aaj wo meri barbadi per thahaake lagane lage hain,

ander hi ander jo racha kerte the shadyantr mere liye,

ab wo apne mansoobon ko mujhper aazmane lage hain,

mere haath jinke gale ka haar hua kerte the kabhi,

aaj wo apne haathon mere armaanon ka gala dabane lage hain,

wada kiya tha kabhi zindgi bhar saath nibhane ka,

per aaj wo kisi or k nam ki mehandi rachane lage hain,

murta chhodh kar zindgi ki rah me is {gareeb} ko,

aaj wo bade shonk se aapna ghar basane chale hain,

=====================================================

Rajan {gareeb}




JO TUM AA JAATE EK BAAR

By Mahadevi Verma

Kitni karuna kitne sandesh
Path mein bichh jaate ban paraag
Gaata praano ka taar-taar
Anuraag bhara unmaad raag
Aansoo lete ve pag pakhaar
Jo tum aa jaate ek baar

Hans uth-te pal mein aardra nayan
Dhul jaata hoton se vishaad
Chha jaata jeevan mein basant
Lut jaata chir-sanchit viraag
Aankhein deti sar-vasva vaar
Jo tum aa jaate ek baar

Dost
BN
=====================



====ye shabd=======

ek dard bhare dil ki aawaz hain ye shabd,

ek apno se apno ki baat hain ye shabd,

ek mout se zindgi ki fariyaad hain ye shabd,

ek ashiq ke dard ka haal hain ye shabd,

ek bewafa se wafa ki maang hain ye shabd,

ek sochne samajhne ki baat hain ye shabd,

ye shabd nahin ye to hai kisi k dil k armaan,

armanon ka apne bakhaan hain ye shabd,

ye shabd kisi bhi jati ko nahin mante,

n hindu n muslim n pathaan hain ye shabd,

kabhi jo sochta hun kuchh likhne samajhne ko,

to lagta hai bible,ved or kuraan hain ye shabd,

kon kehta hai ki shabdon me jaan nahi hoti,

har soche hue matlub ki jaan hain ye shabd,

ye shabd khud me itni takat rakhte hain,

{gareeb}ki kalam se ugalte tufaan hain ye shabd,

or mithaas me aise k madhu bhi lage feeka,

koyal si meethi zubaan hain ye shabd,

har ek insaan ki zubaan ki jaan hain ye shabd,

insaanon k insaan honeki pehchaan hain ye shabd

================================================

Rajan {gareeb}



Akshar Mile Bana

Akshar Mile Bana Ek Shabd,
Kuch Shabdo Ko Milakar Rachna Kah Dia,
Kitna Saral Lagta he ye Sab,
Par Vastav Me Bahut Viral he ye Sab,
Kuch Vakyo ke Bhavo par Kitabein Likh Di Jae,
Kuch Vakyon Me Jeevan Ka Sar Samaee,
Kuch Ko To Sirf Likhne Wala Hi Jan Pae,
Kuch Me Koi Dil Ki Bat Bol Jae,
ManoBhavo Ka Jisme Ho Poora Chitran,
Man Me Laga Ho Jaise Koi Darpan,
Chand Panktion Me Jeevan Ka Sach Jo Kah Jae,
Vahi Sache Mayno Me Rachnakar Kahlae,
Kahtein Hein,
Manushy Jeevan Milna To Bhagya He,
Par Kavi Hona Saubhagya He.

To aap sabhi saubhagyshali logo ko ek bar phir parnam karta hoon

Aapka apna
Sachin Jain




===========unki yaad=========

unki aankh se tuute moti dharaa par bikharne lage,

woh or main jis din ek doosre se bichhadne lage,

jazbaaton ka woh sailaab dono oor se beh nikla,

dono ki aankhon me bass bichhadne ka hi tha shikwa,

patjhad ka woh mosam ab bhi kabhi jo yaad aata hai,

to dil phir uss hee ki yaadon me dubh jaata hai,

jin yaadon ko kiya tha kabhi dil ki mazaar me dafan,

jispar dala tha {gareeb} ne apne armaanon ka kafan,

aaj wo pal-pal mere dil ko phir se yaad aane laga,

jub main apni kalam utha koi nai kavita banane laga,

===================================================

Rajan {gareeb}


Main tumse kuch nahi bolta (Gunraj Singh)

Friday, March 16, 2007


khamosh

Main aksar khamosh rato me tere hi khwab buna karta hun,
Gujarti hai karwaton mein raat na jagta hun na sota hun,
Tujhe hi sochta rehta hai mann tanhaai ke aalam mein,
Main rooz aankhe band kar tera hi deedar kiya karta hun,
Kahi aisa to nahi hai ki main tumse pyar karta hoo?

Tu jo gar muskura de to khushi se joom uthta hai dil,
Tujhe jo dekhu udaas to jal bin machhli sa tadapta hun,
Sukoon milta hai is dil ko kuchh jab tum muskurati ho.
Teri ek muskan paane ko jaan kurbaan kar sakta hun.
Kahi aisa to nahi hai ki main tumse pyar karta hun?

Teri har chaah ko apne sir maathe par rakhta hun,
Mein khud se kahi jyada tera khayal rakhta hun,
khwahish koi apni jab mujhko batati hai tu kabhi,
Teri khwahish ho poori khuda se yahi fariad karta hoo,
Kahi aisa to nahi hai ki mein tumse pyar karta hoo?

Tu jo mil jaati hai mujhse to din accha gujarta hai,
Gar jo na ho baat kisi din to khudse baaten karta hun,
Tu jab aakar mere kaano mein kuch kahti hai meri zindgi,
Teri awaj ke sadke mein apna dil kurbaan karta hun,
Kahi aisa to nahi hai ki mein tumse pyar karta hun?

Teri uss gustakh nazar ko dil se salaam karta hun,
Teri har ek shokhi par mein khud ko nisaar karta hun,
Jab kabhi ho jaati hai hamari mulakaat kisi mood par,
uss-hi ek pal ka main khuda se shukr guzaar karta hun,
Kahi aisa to nahi hai ki mein tumse pyar karta hun?

Tere husn k nikhaar par mann jub koi kavita rachta hai,
to Pyar ke shabdon ko apne panno par utaar leta hun,
Kehne se dil to darta hai magar aaj kehna hi hoga,
Mere hum-dum mein aaj is baat ka ikrar karta hun,
Haa main tumse pyar karta hoo,tumhi se pyar karta hun
"raj"

Ek inbanndh

=============samaaj=================

Railway station pe main khada tha, ek budha aadmi sitting chair per
soeya pada tha, maine usse jagaya, ek das ka note pakdaya, or puchha
ki haawda express kitne baje aati hai, usne kaha mujhe kya malum,
main to 50 sallon se bimaar pada hun, yahan kisi train ka koi sahi
samaye nahi hai, isiliye 50 sallon se soeya pada hun, maine kaha ki
tumhen sharam nahi aati kyon jhuth bolte ho, dinse to daru peete ho
or raat tak sote ho, usne kaha nahi babuji main sach keh raha hun,
or ek baat yahan ka har aadmi kisi na kisi se paise khane ki taak me
hai, wo duur khada T.T babu bhi isi firaak me hai, ki koi aisa aaiye
jo ticket na katwaye, wo unko chori se bithaye or unse paise khaye,
maine kaha aakhir ye bhrashtachaar kab tak chalega, hamre desh main
ye daanaw aakhir kab tak palega, usne kaha main bhi ye sab 50 sallon
se dekhta hi aa raha hun, phir bhi khamoshi ke chane chaba raha hun,
par kar bhi kya sakte hain, aaise loog paise kha kha kar isi tarah
pakte hain, usne kaha "dar-asal main samaaj hun, isi liye jaise kal
chup tha waise hi aaj hun, or shayad waise hi kal bhi rahunga.

====================================================================

maine iss nibanndh me aise samaaj ki jhalak dikhaie hai jo sub kuchh
apne samne dekhta to sub kuchh hai par bolne ki kisi me himmat nahi.
isme 50 saal humari aazadi ko ho chuke hain or tabhi se humaara sara
systam kharaab pada hai kisi ko kisi se koi matlab nahi. buss apni
jeb bharne se matlab hai.

Rajan {gareeb}


===========kavitaon ki chhap==============

===========kavitaon ki chhap==============

koi hans raha hai koi ro raha hai to koi baitha hai udaas,

tumhari kavitaon ko padha to laga ki inme baat hai kuchh khaas,

kahin per hai surya aast to kisi me suraj chadhta nazar aata hai,

na jane kyon tumhari kavitayen padh ker dil behel sa jata hai,

kisi me hai budhi dadi baithi apni chhadi ke sath,

to kisi me liye baithi hai dulhan apne mehindi rache haath ,

{Gareeb}ke shabd koosh me nahi hai shabd aapki rachnaon ke liye,

dua hai{Raj}badhte raho aage or aage apni inn rachnaon ko liye!

============================================================

Rajan {gareeb}


yaado mein aapki

yaado mein aapki rehkar hi to ab, majil ko apni paaunga main.
meri prerna ban kar aayi ho aap, aapko kaise bhula paunga main?

Nirasha ki kaali raat ho chahe, udasi ka kuhasa chaya ho.
aapki di har chingaari se, 100-100 mashale jalaunga main.
meri prerna ban kar aayi ho aap, aapko kaise bhula paunga main?

bahut majboot hai vishwas ki wo dori, jo di aapne haatho mein mere.
thaam kar vishwaas ki is dori ko, aasman chu kar aaunga main.
meri prerna ban kar aayi ho aap, aapko kaise bhula paunga main?

kabhi ho jaaunga udas shayad aapko soch soch kar mein lekin.
phir aapke hi khayalo mein kho kar khud mein hi muskuraunga main.
meri prerna ban kar aayi ho aap, aapko kaise bhula paunga main?

har ek pal wo jo aapke saath tha, ek pal nahi thi jindgi poori.
sametkar har ek pal ko ab, jindgi ek nayi banaunga main.
meri prerna ban kar aayi ho aap, aapko kaise bhula paunga main?

Raj. ki har kavita mein shabd nahi jindgi hai aapki shaamil.
apni har ek kavita ko ehsaas se aapke sajunga main.
meri prerna ban kar aayi ho aap, aapko kaise bhula paunga main?
"raj"


Chahat!!!

Chahat!!!

Bheed se alag ek adad(decent) saa mukam chahta hoon
Apni rooh, apna Jism, Apni Jaan chahta hoon
Loot lo tum chahe ye saare sitare
main to Bas ye khula aasmaan chahta hoon.

Tukdon me bant gaya hai ye saara shahar
Bante na mere andar ka insaan chahata hoon..
sone ki ho gayi hai har cheez jahan..
sabut rahe mera Imaan chata hoon..
Apni rooh, apna jism, apni jaan chahta hoon

Mohabbat basti jo jin deewaron me
Unhise ghira ho ye jahan chahta hoon
Poch (wipe out) dalo apni ankhon se ye aanson ae- dost
Sapno ka inme ek aashiyan(home) chahta hoon

Lutere na loot lein tumhare hauslon ko
ki in baajuon me wo fauladi jaan chahta hoon
De sako to de do tum mujhe apna saara dard
Ki tumhare hoton pe main bas muskaan chahta hoon.

Bheed se alag ek adad sa mukaam chahta hoon.
Apni rooh, apna jism apni jaan chahta hoon.




Poetry_hindi Parivaar ko saprem Bhent.
Rajneesh Kumar




MAusi (Ek Kahani)

"MAUSI"
Aaj subah aankh khul gayee,raat mein jaldi so gaya thaa isliye. Waise
bhi America mein niyam hi yeh hai ki aap jaldi so jaiye aur jaldi uth
jaiye.Parantu main niyom mein bandhaa hua insaan nahee hoon is baat
ka mujhe garv bhi hota hai aur kabhi malal aur kabhi jalan bhi.
Jaldi uthaa to Chai peene ki talab hui.....Hindustan se America aaye
hue bas abhi 1 din hi to hua thaa.Chai ki adat kahan se jaati.
Anaayaas hi ek chitrapat sa mashtishk mein chalne laga.........sab
kuch dheere dheere kramshash...ghoomata jaa raha thaa.Wo pehlaa din
REC Rourkela mein aur din ki shuruat karne ke liye "Chai" ek amrit si
jaan parti.Hamaraa din bhi Chai se shuru hota aur Chai per hi kahatam.
Bas subah ho yaa shaam hum dost Mausi ki dukan per jaa baithatey aur
chai ke glass le kar baatein..........Paisee nahee hote to Mausi bade
pyar se kehti "Beta baad mein de dena".Kuch apnaa pan thaa
usme....."Beta"....Kabhi Garmi ki Chuttiyon mein khana bhi wahin
khaate thee...
Jindagi dheere dheere chalti jaa rahi thee.....kabhi raftaar kam
hoti to kabhi bahut tej......
Ek baar Mausi se baat hi baat mein Ghar Baar ke baare mein pooch
liya.......
bade hi sehaj bhav se Mausi ne kaha "Beta....ek Laraka hai aur ek
Laraki...." maine kaha "Per Mausi koi bhi dikhataa nahee?"
Mausi ne phir usi saraltaa se kaha" Beta....Laraki Beauty parlour
mein kaam karti hai....aur Aspataal mein bhi...isliyee din mein
apney "booty palor" rehti hai aur raat mein aspataal mein rehti
hai....bahut kaam hota hai naa beta...aur hum gareeb log
hain............" isse pehlee Mausi apni kahani suna paati maine baat
ko kaat diya aur pooch baithaa "Mausi Tumhara Larkaa kahan hai?"
Abki baar kuch Mausi thora ruki jaisey soch rahi ho ki kya jawaab
dein...phir kuch soch kar bol padi " Larkaa to beta Cinema haal mein
ticket bechataa hai...Hum log to gareeb hain........"
Maine ek baar phir baat kaat di jaisee ki main keh raha hoon
ki 'Mausi apni ram kahani mat sunao' larakpan bhi thaa... aur
Engineering college ki hawa bhi.
Ek nasha saa thaa ki haan main engineer hoon.... aur yeh to bas
Mausi hi hain ek chai ki dukan wali.....aur ek soch si dimag mein
baith gayee thee ki rehnaa to yahan chaar saal hi hai aur waisee bhi
duniya mein bahut log gareeb hain kis kis kaa dukh sunoo aur kis kis
kaa dukh door karoon.Bas apni jindagi jiye jao...
Samay ke saath saath mera 3rd year bhi aa gaya....par in kuch
mahino mein ek badalav maine dekha Mausi ki dukan per ..... koi daru
pee kar har samay wahin padaa rehtaa thaa....naa kuch boltaa naa hi
kuch kehtaa.....haan Mausi usko le kar thora pareshaan jaroor
rehti ............per kise Mausi ki parwaah thee.....hamein to ek aur
saathi mil gaya Daru supply karnee ke liye....apni to chal
nikali....Mausi ki dukan per ab Chai ke saath Daru bhi piyo aur
Pilao...Mausi sab dekhati par kuch kehti naa thi...shayad usko bhi
khushi thee ki 'chalo is nakara ke Chaltey chai to bikane lagi.....'
In 3 saalon mein Mausi ki dukan kafi badi ho gayee thee....par
maine laraki ko aaj tak nahee dekhaa thaa....aur naa hi Larake baare
mein jaaantee thee... aur kaun itana sochata bhi thaa apni hostel ki
fast life ke chalte...Bas hamara naya saathi jiskaa naam
hamane "Tulliram" rakhaa thaa...hamein daru deta aur kabhi hum usey
daru dete......bas aisee hi yeh kram chaltaa raha.....
Ab hamaraa 4th aur aakhiri saal thaa.... idhar kuch dino se
college kaa mahaul garam thaa...kyon ki kuch larake der raat ko bahar
se aaate pakara gayee thee.... der raat mein bahar se............baat
kuch hajam nahee hoti,kyon ki college sabhi larake aksaar der raat
tak bahar rehte thee aur khaa pee kar aatee thee.Kuch to thaa is
mamalee mein....Jab thora pata kiya to maloom chala ki wo
sab.........................yeh samjhane ki jaroorat nahee hai ki kya
hua........
Phir wahi subah aur wahi chai ki dukan....is baar apnee ek dost
jo ki raat wali ghatana mein shamil thaa ke saath gaya......is baar
chai dene ek laraki bahar aayee....
laraki ne kaha" Mayee ki tabiyat kharaab hai..." aur laraki ne chai
hamein pakraa di.
Hum chai pee kar uthey aur mera dost kuch jyadaa hi tej chalnee
laga....karan poocha to pata chala ki yeh wahi laraki......Mera dimag
sayein sayein karnee laga...Sannate goojane lage kano
mein......"Mausi ki baat ...Beauty Parlour....Asptaal...kya yeh sab
jhoot hai.....main usey Mausi kehtaa raha aaj tak....nahee nahee
itana badaa dhokhaa...ander kuch aur bahar se kuch...." Sab kuch to
soch dala maine jitana bura soch saktaa thaa sab kuch....Ab yeh
nishachay kar liya thaa ki ab us dukan per chai nahee
piyongaa...isliye nahee ki chai gundi ho gayee yaa wo laraki .....
parantu ek soch thee ki "Mausi" kaise kahoongaa...........
Shaam hui aur sabhi dost ek baar phir usi taraf nikal pade aur
is baar doosari chai ki dukan....aur Mausi ki dukan ki taraf aisee
dekha jaisee ki keh raha hoon....dekho ab tumhe poochata bhi
nahee.....Kuch hi der baad dekhata hoon 4-5 aadmi......kuch
gaaliyaan......aur Mausi ki....dukan ab ek Khandahar ban chuki
thee.....poochane per pata chala ki jameen kisi aur ki thee aur Mausi
ne uskaa kiraya nahee diyaa thaa 1 saal se............kyon ki jo
paisee thee wo sab larake kaa ilaaj karane mein kharch ho
gaye.... "larake kaa ilaaj....? Arey larakaa to khud hi kamataa
hai...." doosare chai wale se maine kaha.....jawab aayaa arey kahan
bhaiyaa.....kis duniyaa mein rehtee ho....main poocha"Kyon...?" phir
se jawab "Jo aap logon ke saath daru peeta thaa naa wahi to iskaa
larkaa thaa.... aur ab to wo Mar bhi gaya 1 saal ho gayee babu...."
Is baar main phir soch mein pad gaya...."Mausi ne jhoot kyon
kaha.....?" phir apney aap hi soch ne ek karwat li aur kuch samajh
aanee laga ander chadhaa pardaa thoraa hatataa dikh raha
thaa...."Aakhir Mausi bhi ek Maa thee usey bhi apnee parivar ko
acchaa dekhana kaa hak hai....to kya hua agar wo GAREEB...........bas
Gareeb............haan Gareeb yahi to Mausi har baat ke baad kehti
thee.......jo main sunana nahee chahtaa thaa.............kisi naa
kisi bahanee taal detaa thaa Mausi ki baat....." Ab nafrat ki jagah
glani ne leli thee......thora dukh bhi hua.
Achanak kuch jalaney ki gandh se main soch se jaga aur chai kaa
pani dekhane kitchen mein chal diya.....per under ek santosh
thaa .................. is baat kaa ki maine usey galat naam nahee
diyaa thaa.........jo ki Maa ke samaan thaa...................MAUSI.

"Prateek Shukla"

HO GAYI HAI PEER PARVAT SI

Thursday, March 15, 2007
HO GAYI HAI PEER PARVAT SI
By Dushyant Kumar

Ho gayi hai peer parvat si, pighalni chaahiye
Is Himalay se koi Ganga nikalnee chaahiye

Aaj yeh deewaar pardo ki tarah hilne lagi
Shart lekin thee ke ye buniyaad hilni chaahiye

Har sadak par, har gali mein, har nagar, har gaanv mein
Haath lahraate hue har laash chalni chaahiye

Sirf hangaama khada karna mera maksad nahi
Saari koshish hai ke YE SOORAT BADALNI CHAAHIYE

Mere seene mein nahi, to tere seene mein sahi
Ho kahin bhi aag, lekin aag jalni chaahiye


MUSHKIL HAI APNA MEL PRIYE

mushkil hai apna mel priye, ye pyar nahin hai khel priye,
mushkil hai apna mel priye, ye pyar nahin hai khel priye,

tum MA 1st division ho, main hua matric fail priye,
mushkil hai apna mel priye, ye pyar nahin hai khel priye,

tum fauji officer ki beti, main to kisaan ka beta hoon,
tum rabid, kheer, malai ho, main to sattu sapreta hoon,
tum AC ghar mein rahti ho, main ped ke neeche leta hoon,
tum nai maruti lagti ho, main scooter lamreta hoon,
is kadar agar hum chup-chup kar aapas me prem badhaenge,
to ek roz tere daddy amrish puri ban jaaenge,
sab haddi pasli tod mujhe bhijwaa denge vo jail priye,

mushkil hai apna mel priye, ye pyar nahin hai khel priye,

tum Arab desh kee ghodi ho, main hoon gadhe ki naal priye,
tum deewali ka bonus ho, main bhookho ki hadtaal priye,
tum heere jadi tashtari ho, main almunium ka thaal priye,
tum chicken-soop biryani ho, main kankad waali daal priye,
tum hiran-chaokadi bharti ho, main hoon kachue ki chaal priye,
tum chandan-wan ki lakdi ho, main hoon babool ki chaal priye,
main pake aam sa latka hoon, mat maaro mujhe gulel priye,

mushkil hai apna mel priye, ye pyar nahin hai khel priye,

main shani-dev jaisa kuroop, tum komal kanchan kaya ho,
main tan-se man-se Kanshi Ram, tum maha chanchala Maya ho,
tum nirmal paawan Ganga ho, main jalta hua patanga hoon,
tum raaj ghaat ka shanti march, main hindu-muslim danga hoon,
tum ho poonam ka taajmahal, main kaali gufa ajanta ki,
tum ho vardaan vidhata ka, main galti hoon bhagvanta ki,
tum jet vimaan ki shobha ho, main bus ki thelam-thel priye,

mushkil hai apna mel priye, ye pyar nahin hai khel priye,

tum nai videshi mixi ho, main patthar ka silbatta hoon,
tum AK-saintalis(47) jaisi, main to ik desi katta hoon,
tum chatur rabadi devi si, main bhola-bhala lalu hoon,
tum mukt sherni jangal ki, main chidiyaghar ka bhaalu hoon,
tum vyast Sonia Gandhi si, main V. P. Singh sa khali hoon,
tum hansi Madhuri Dixit ki, main policeman ki gaali hoon,
kal jel agar ho jaaye to dilwa dena tum bel priye,

mushkil hai apna mel priye, ye pyar nahin hai khel priye,

main dhabe ke dhaanche jaisa, tum paanch sitara hotel ho,
main mahue ka desi tharra, tum Red-Label ki botel ho,
tum chitra-haar ka madhur geet, main krishi-darshan ki jhaadi hoon,
tum vishva-sundari si kamaal, main teliya chaap kabadi hoon,
tum sony ka mobile ho, main telephone waala chonga,
tum machli maansarovar ki, main saagar tat ka hoon ghongha,
dus manzil se gir jaaooga, mat aage mujhe dhakel priye,

mushkil hai apna mel priye, ye pyar nahin hai khel priye,

tum satta ki maharani ho, main vipaksha ki lachari hoon,
tum ho Mamta-Jai lalita si, main kwara Atal-Bihari hoon,
tum Tendulkar ka shatak priye, main follow-on ki paari hoon,
tum Getz, Matiz, Corolla ho main Leyland ki lorry hoon,
mujhko refree hi rehne do, mat khelo mujhse khel priye,
mushkil hai apna mel priye, ye pyar nahin hai khel priye,

main soch raha ki rahe hain kabse, shrota mujhko jhel priye,
mushkil hai apna mel priye, ye pyar nahin hai khel priye.

MUSHKIL HAI APNA MEL PRIYE



Khwab

Aksar Khwab hote kein sirf tootne ke lie,
Kya yahi sochkar hum khwab dekhna band kar de kya,
Is par me to bas yahi samajhta hoon ki,
Har toote khwab se ek sabak nikala jae,
Phir se ek naya Khwab banaya jae,
Kitne Khwab todegi ye berehm dunia,
Kuon na har raat ek naya khwab banaya jae,
Har raat ek naya khwab banaya jae



=========Desh ke halaat========

humare desh ke halaat kuch is tarah se bigad rahe hain,

hindu or musalmaan aapas main jhagad rahe hain,

banaker hindu-muslim ko ek duje ke khoon ke pyaase,

yeh neta dekh rahe hai darshak banke tamashe,

film walon ko bhagat singh jaise logon se kya kaam hai,

inko to chahiye paisa or ya chahiye aapna naam hai,

gujrat main log museebat or lachari mai jhool rahe hai,

or ye neta unhi ka paisa khaker phal-phool rahe hai,

bharat wassi ka farz hai ki wo desh ki unnti mai hath bataye,

koi ho jo museebat mai to uski or insaniat ka hath badhaye,

bharat rishi-muniyo or peer-fakeeron ka desh kehlata hai,

isi wajah se is desh ka naam subse upper aata hai,

lekin tum log is desh ko kis or le ja rahe ho,

ek taraf aabadi or duji or gareebi badha rahe ho,

pyaar,aman or shanti ka to namo nishaan tak nazar nahi aata,

kahan kho gai ye cheeje-ye naam kuch samajh me nahi aata,

gandhi ji jaise logon ne ahinsa se karaya tha is desh ko aazad,

iltja karta hai ye{graeeb}mat karo is desh ki parampra ko barbad,

mat karo is desh ki parampra ko barbad, mat karo barbad!
"rajan"


=======bedion me maa=======

neeche ko dekhta hun to maa phir bedion me bandhi nazar aati hai,

jaise bharat maa humse phir aazad hind fouj banwana chahati hai,

jaise phir se zaroorat ho ise hamare khoon ki or hamare balidaan ki,

har ek hindustani ke sunahare bhavishye ki or sub ke aatm samman ki,

jaise tang aa gai ho maa kuchh kaafir jhuspaithion ki harkaton se,

jo dekh ker jalte hon hamare Desh ki khush haali or barkaton se,

aao khaiyen kasam hum sub milker is {gareeb} ke sath,

kaat dalenge usko jo badhega hamare desh ki tarph haath,

yaad rakhho uun bharat mata ke chaheeton ke balidaan ko,

aanch nahi aane denge kisi bhi bharat mata ki santaan ko,

yaad karo uus vaky ko jo Hindustani kabhi na bhool payenge,

guruon ka nara:-aao samne dushmano sawa lakh se ek ladayenge,

sawa lakh se ek ladayenge, sawa lakh se ek ladayenge,

============================================================

Rajan {gareeb}


DO PREMI

Wednesday, March 14, 2007
patle aur tang raste, raston mein sang chalna
takraate badano se mann ka machalna
baaho ki ragad, haatho ki jakad
halki si muskurahat, palko mein paro ki fadfadahat

ansu to tapke, par dharti pyasi reh gayi
nami unki hatheli hi sah gayi
kankad-pathhar bhi sthirr reh gaye
ye kandhe jo unke kadam sambhaal chale

khula samundar, lahro ki takraar
barfili chotiya, hawaii toofaan
bhayankar jungle, aur pashuo ki chaal
amar bane premiyo se hokar/khaakar maat




Geetali Sharma



* Mahaveer*

Tilak laga lalaat (face) per ,
Jyoti prachand liye chacchuon(eyes) main
Nikal pada haui vishwa vijay ko,
nirbhay beech shatroon main.

Grajan ho meghon ka,
ya phir kolahal patal main,
har badaha hai vyartha (in vain),
Woh swayam samahit mahakaal main.

Goonj rahi usakee vanee,
jaise nikla garjan mridang (Shiv ji's Mridang) se,
phadak rahee hain bhujaein jaise,
Surya phat pada har ang se.

Damak raha lalat jaise
kaustubh(platinum) kanchan kaya main ,
vaytha hain prayass sab use
bandhane jivan maya main.

kar raha udgosh mano
singh(lion) ka ho garjan,
prabal tej ki woh hai dhara,
nishit hai shatroon ka mardan.

gharshan kitna jivan main ho,
jawala aise jo upje nirnal jal pashan main,
hai asambhav use rokna
jo nikla jivan maha prayan main.
Aditya Shukla
"@ditya $hukla"



====aisa kyon==========

hindu ne musalmaan ko mara,musalmaan ne hindu ko mara,

kya yehi silsila chalta jayega,kya kabhi hind or pak ek ho payega,

agar nahi to puchho ye sawaal khudse ki aisa kyon,

kya azaadi se pehle hum ek saath nahi rehte the,

kya azaadi se pehle hum ek duje ko bhai nahi kehte the,

agar han to puchho ye sawaal khudse ki ab aisa kyon,

akhir kyon aa raha hai hamare dilon me ye bhed,

akhir kon ker raha hai hamare beech me hastakkshep,

agar mandir masjid k nam per ye kaomen ladti jayengi,

to kya mandir masjid me matha tekne lashen jaiyengi,

agar han to puchho ye sawaal khudse ki aisa kyon,

kya hum aman or shanti se jeewan nahi guzaar sakte,

kya hum apne beech uthe matbhedon ko nahi sudhaar sakte,

agar nahi to puchho ye sawaal khudse ki aisa kyon,

aise kai sawaal hain jo apne aap me ek mukaam rakhte hain,

kya hum apne aap se in sawaalon ko puchh sakte hain,

agar{gareeb}jawaab hai wahi"to puchho ye sawaal khudse ki aisa kyon"

==================================================

Rajan {gareeb}
"rajan"


JO BEET GAYI SO BAAT GAYI

JO BEET GAYI SO BAAT GAYI
By Harivansh Rai Bachchan

Jeevan Main Ek Sitara Tha
Maana Vah Behad Pyara Tha
Vah Doob Gaya To Doob Gaya
Ambar Kay Aanan Ko Dekho
Kitne Iskay Taare Toote
Kitne Iskay Pyare Choote
Jo Choot Gaye Fir Kahan Mile
Par Bolo Toote Taaron Par
Kab Ambar Shok Manata Hai
Jo Beet Gayi So Baat Gayi

Jeevan Main Vah Tha Ek Kusum
They Us Par Nitya Nichavar Tum
Vah Sookh Gaya TO Sookh Gaya
Madhuvan Ki Chaati Ko Dekho
Sookhi Kitni Iski Kaliyan
Murjhaayi Kitni ballriyan
Jo Murjhayi Woh Fir Kahan Khili
Par Bolo Sookhe Phoolon Par
Kab Madhuban Shor Machata hai
Jo Beet Gayi So Bat Gayi

jeevan Main Madhu Ka Pyala Tha
Tumnay Tan Man De Daala Tha
Wah Toot Gaya To Toot Gaya
Madiralya Kay Aangan Ko Dekho
Kitne Pyale Hil Jaate Hain
Gir Mitti Main Mil Jaate Hain
Jo Girte Hain Kab Uthte Hain
Par Bolo Toote Pyalo Par
Kab Madiralaya Pachtata Hai
Jo Beet Gayi So Baat Gayi

Mridu Mitti Kay Hain Bane Hue
Madhu Ghoot Phoota Hi Kartay Hain
Laghu Jeevan Lekar Aaye Hain
Pyale Toota Hi Karte Hain
Fir Bhi Madiralaya Kay Andar
Madhu Kay Ghat Hai Madhu Pyale Hain
Jo Madakta Kay Maare Hain
Vey Madhu Loota Hi Kartay Hain
Va Kachcha Peene Wala Hai
Jiski Mamta Ghat Pyalon Par
Jo Sachchey Madhu Sey Jala Hua
Kab Rota Hai Chillata Hai
Jo Beet Gayi So Baat Gayi

-
Apka Apna
Poetry_Hindi Group



Mera Anjaan

Kash Koi Mera Hota........
Mujhe Sochata,Mujhe Khojata....
Mere Kho(wonder) Jaane Per....
Mujhe Tokataa Hota.........

Koi Aisaa Hota Mera......
Jisme Sajataa Sapnaa Mera.....
Mere Dil Ki Dhadkan Mein .....
Jo Kartaa Apnaa Rain(Night) Baseraa( living place)....

Kabhi Sochata Hoon Main Yeh Bhi...
Kahin Koi To Aisaa Hogaa.
Wah Anjaan!!!!!!!!!!!!!!!!!
Mujhe Sochataa........
Mujhe Khojata Hogaa.....
Aur Kabhi Bechaini(Perplex) Mein...
Meri Tarah Hi........
Aksar Yeh Hi Kehtaa Hogaa.........
Aye Anjaan!!!! Tum Kahan Ho?
Jise Main Pyar Kartaa Hoon......
Koi Mujhe Bata De.....
Wah Mera JeevanSaathi Kahan Hai.....
Wah Mera Anuragi Kahan Hai........
Wah Mera Apnaa Mera Sapnaa....
Kahan Hai?
Dhoondh Loongaa Aye Jindagi.....
Too Pehchaan Mat Bataa..........
Mat De Uska Pataa.........
Uski Muskaan Se Khoj Loongaa Usey...

Kyon Ki Mujhe Wishwaas Hai....
Jahan Bhi Dekhegaa Wo Mujhe.....
Muskuraa To Degaa Hi................
Aapkaa Apnaa.
Prateek Shukla"Anjaan"
Prateek Shukla


MOAUN RAHO

Raho moaun ab
Kutch n kaho- n kaho- n kaho
Antarvyatha ki aanch (heat)
Kaun sakega banch (read)
Mar maan ko
Saho , Saho , Saho .

Suna tha
Dard ka haed se gujer jana
Hai svayam dava ho jana
Mantra bada anmol
Oose khule haath


Vidhi k vidhanGaho , Gaho , Gaho .(Catch)
Tou hote hain atal
Niyati k niyamon ko
Kaun saka hai badal
Jeevan sang bus tum
Baho ,Baho , Baho .

Aayegi tumhari bhi bari
Aatma hai azar amar
Sahti hai sab kutch
Haar nahi manti
Tum bhi hatash yon
N Ho , N Ho , N Ho .

Surendra Mardia
"ssmardia"



zindagi ki umeed

teri chaukhat per zindagi ki umeed se nahi ,
tere kooche per tere jalwe ki umeed se nahi ,
tere sehar mein tere dedaar ki ummed se nahi ,
tere saamne jeene ke liye nahi ,
meri Maut ki umeed se aayein hai .

Ek jhalak teri nahi ,
ek aanson mera nahi ,
ek fariyaad unki nahi ,
ek kavita humhari nahi ,
yeh Zindagi ab humhari nahi

ek meri maut ki khabar nahi ,
ek tere jeene ka sahara nahi ,
ek unki uttejenna nahi ,
ek humhari manzil nahi,
fir ek ghar mein hum kyon nahi

ek tujhe mein yaad nahi ,
ek mujhe tu yaad nahi ,
ek hum ek doosre ko jaante nahi,
ek duniya wale ,
jo aaj bhi humme ek maante hai ,
ek mein aur ek mera aks.



mast banda
gpmce
anjaan_me@yahoo.co.in


patle aur tang raste

patle aur tang raste, raston mein sang chalna
takraate badano se mann ka machalna
baaho ki ragad, haatho ki jakad
halki si muskurahat, palko mein paro ki fadfadahat

ansu to tapke, par dharti pyasi reh gayi
nami unki hatheli hi sah gayi
kankad-pathhar bhi sthirr reh gaye
ye kandhe jo unke kadam sambhaal chale

khula samundar, lahro ki takraar
barfili chotiya, hawaii toofaan
bhayankar jungle, aur pashuo ki chaal
amar bane premiyo se hokar/khaakar maat



Geetali
geetali.sharma@gmail.com

jab tum muskurati ho ........................
armano ki banjar dharti par nanhi si kopal ban jaati ho,
baago mein khilte phoolo si sundar komal ban jaati ho.

jab tum muskurati ho........................
khamoshi se bhari mehfil mein sangeet ki tarang ban jaati ho,
neeras vyakul antarman mein,aanand ki umang ban jaati ho,

jab tum muskurati ho.....................
manjil se bhatke raahi ki jagmagati raah ban jaati ho,
asfalta ki aashanka mein safalta ki chah ban jaati ho,

jab tum muskurati ho,...............
patjhad se sookhi waadi mein basant ki aas ban jaati ho,
andhkaar se bhare bhavishya mein bhor ka prakash ban jaati ho,

chehre par kuch arth liye jab mand mand muskaati ho,
amulya anjaani khushiyo se mere jeewan ko mehkaati ho.
"raj"



Mazza hi kutch aur hai

Yarr internet per surfing kerne ka

Mazza to bahut aata hai per

Password kisi aur ka ho to

Surfing ka mazza hi kutch aur hai .



Garmiyo me thande thande pani se

Nahane me milta hai sukun bahut

Per December ki kadkdati sardi me

N nahane ka mazza hi kutch aur hai.



Kavita likhne, Rchne ki aadat

Khushi bahut deti hai sabko

Per oose kisi ko samne bitha

Padh ker sunane ka mazza hi kutch aur hai



Dikhta hai sab kutch puri tarah

Saaf saaf hame charo oor

Per kala chasma pahan ker

Nazren ghumane ka mazza hi kutch aur hai



Patang katne katane ka aur

Udane ka aanand adhik hai

Per kati patang aur door

Lutne ka mazza hi kutch aur hai



Is kadi me aur bhi bahut hai per abhi itnahi

Kyuki intzar ka mazza bhi kutch aur hai



Surendra Mardia




Manjil (Ek Koshish)

Tuesday, March 13, 2007
Raste kitne chala main manjil ko paane ko,
main un hi chalta raha or dooriyaan badti gayi,
kuch door chal kar aaygi manjil meri,
khatm hoga ye safar or maaramari,
bas isi aasha ko leker me chalta raha,
main un hi chalta raha or dooriyaan badti gayi,
is sfar me the mere humsafar bahut,
kuch ne badle raaste or kuch ki thi manjil alag,
jo mujhe mila me usse muskarakar mila,
kuch mere saathi bane or kuch bichdte chale gae,
ek din tahk jaaunga me is safar me,
or shayad vo din hoga meri jindgi ka aakhri,
par dooriyaan manjil ki tab bhi yoon kayam rahengi,
kunki main un hi chalta rahunga or dooriyaan badti rahengi.


SACHIN JAIN

Ehsaas

ye ehsaas hai mujhe main kisi ka ho chuka hun
kisi ke dharakte dilon main kho chuka hun,
aankho main bekarari dil main becehni,
meri jindagi main panah paa chuki hain,
apne nayno main sukh chuke aansuon ko,
main fir se jivit hone ka hukum de chuka hun,
na chahte hue bhi tujhe ae mere humdam,
main tujhe apne jivan main aane ki ijajat de chuka hun
ye ehsaas hai mujhe main tera ho chuka hun......

By
"vikash ku. kedia"

Prateek Shukla"Anjaan"

Pyare Doston,
Apni kavita ki chand lines pesh kar raha hoon................
Aadmi Apnaa Haal Kise Sunaye.......
Aadmi Apnaa Pyar Kis Per Lutaye....
Aadmi Aadmi Ka Hi Dushman Hai.........
Aadmi Apnaa Dost Kise Banaye....

Chaar lines aur hain...........
Apni hi Jindagi Ka .....
Toota Hua Hissa Ban Gaya Hoon....
Jud Bhi Gaya Too Kya.............
Nishaa...Too Reh Hi Jayegaa....

Yeh mera ek prayaas hai....Ummeed Hai aap sabko pasand aayegaa.
Prateek Shukla"Anjaan"

Baandhon

Baandhon mat wyaqtitva (personality) ko Bhavo ki Zanzeeron se
Suno, Aa rahi hai awaz Jo Waqt Ki Pracheeron se...
Mod do nadi ki dhar, Pakad Lo Prakash Ko..
Jaago chirneedra (Hybernation) se manav, tumhe Chuna hai AAkash Ko..

-------------------------------------------------------------
Iti..
Rajneesh.

Khoobsurat Maut

Kal raat jab mein soya tha,
Ek ajeeb se sapne mein khoya tha.
Kehne KO to WO ek sapna hi tha,
Lekin us sapne mein chupa........
Bhavishya mera apna hi tha.
Ek bohat hi khoobsurat ladki se.
Meri mulaakat Hui thi,
Kuch is tarah se shuru,
Phir hamari baat Hui thi.
Usne muskurate hue mujhse poocha-
Kya tum mujhe pehchante ho?
Kaun hoo mein? Kya mera naam jaante ho?
Lekin mein anjaan bana use dekh raha tha,
Uski muskaan mein chupe Dard KO jhel raha tha.
Usne phir se kaha pehchano mujhe......
Mein maut hoo kya ab mujhe pehchana?
Mera tumhara kya rishta hai kya ab ye jaana?
Sadiyo se mein tumhe chahti hoo,
Tumhe apna maanti hoo.
Tum hamesha se mujhe bhool kar door ho jaate ho,
Meri Behan jindgi ke jaadu mein kho kyo majboor ho jaate ho?
Tum mujhe chor Gaye kuch nahi, lekin mujhe bhulaya kyo?
Us bewafa jindgi ke liye meri wafa KO rulaya kyo?
Aakhir mein laut kar to tumhe mere pass hi aana hai,
Jindgi ka kya hai usne to kuch pal hi saath nibhana hai.
Mujhe aaj bhi apne liye tumhare saath ka intzaar hai.
Aaj bhi tumhe paane ke liye mera dil bekarar hai.
Yaad rakho jindgi ek din tumhe thukrayegi.
Us din yaad tumhe meri hi aayegi.
Lekin mein us din bhi tumhe apna loongi.
Sab shikwe bhool kar tumhe gale laga loongi.
Itna pyar mein tumko doongi ki tum mere ho jaaoge.
Phir chahe koi laakh pukare tum wapas Na jaaoge.bus mere ho jaoge.bus
mere ho jaoge...............
WO sapna ab tak mere khayalo mein chaya hai.
Ab tak meri aankho mein khoobsurat maut ka saaya hai.
Soch raha hoo ab ye ki maut ki baat mein kitni sacchai hai?
Kya jindgi meri hamsafar nahi maut hi meri parchai hai?????


by raj_batra81@yahoo.co.in

zindagi ek samundar

zindagi ek samundar, samundar mein machhli
machhli ka jahan hai chhota sa vyaas (diameter)
lahro ke dhakko se bacha liya gaya
aur anubhav/tajurba ban gaya un-bujhi pyaas


Geetali

PRATEEKSHA(by Harivansh Rai Bachchan)

PRATEEKSHA
by Harivansh Rai Bachchan

Madhur Prateeksha hi jab itnee, Priye tum aate tab kya hota?

Maun raat is bhaanti ki jaise, koi geet veena par baj kar
Abhi abhi soi khoi si, sapno mein taaron par sir dhar
Aur dishaaon se prati-dhwaniyaan, Jagrat swaro si aati hain
Kaan tumhaari taan kahin se, yadi sun paate tab kya hota?

Tumne kab di baat, raat ke soone mein tum aane waale
Par aise hi waqt praan mann mere ho uth-te matwaale
Saanse ghoom-ghoom phir-phir se, asmanjas ke kshan ginti hain
Milne ki ghadiyaan tum nishchit yadi kar jaate tab kya hota?

Utsukta ki akulaahat mein, maine palak paanvde daale
Ambar to mash-hoor ki sab din, rahta apne hosh sambhaale
Taaron ki mehfil ne apni, aankh bichha di kis aasha se
Meri maun kuti ko tum aate dikh jaate tab kya hota?

Baith kalpana karta hoon, pag-chaap tumhaari mag se aati
Rag-rag mein chetan-ta ghulkar, aansoo ke kan si jhar jaati
Namak dali sa ghul apna-pan, saagar mein ghul-mil sa jaata
Apni baahon mein bhar kar priye, kanth lagaate tab kya hota?

Madhur Prateeksha hi jab itnee, Priye tum aate tab kya hota?

Likh doon kuch

Likh doon kuch jo man mein hai.
Prakat karoon Un Sabko........
Baaton Yadoon ko.......
Jo Abtak Antastal mein hai.....
Likh doon.........

Har Shawas Har Kchar ke..
Jeevan ke Pal Pal Ke....
Chitron aur vicharon ko....
Aur unssab ko.....
Jo Jan Jan mein hai...
Likh doon kuch jo man mein hai.........

Prateek

Humari Dosti

kabhi soch kar dekha hai tumne kitni ajab hai hamari dosti
mano to kitni gehri hai warna besabub hai hamari dosti.

kehne ko to ek khoobsurat sa khwab hai sab,
kalpana hai meri ya sach hai hamari dosti,
mano to kitni....

kaun jaane kab bichad jaaye waqt ke chabuk se ham,
waqt ke toofan ke aage bebus hai hamari dosti ,
mano to kitni ...............

dekha nahi hai ik dooje ko mehsoos kiya hai hamne,
vigyan ki ek khoj par nirbhar hai hamari dosti.
mano to kitni..............

karo dua ye sacche man se tumhara hamara saath rahe,
jab tak saans mein saans rahe rahe kaayan hamari dosti.
mano to kitni.............

raj kumar batra

आदर्श प्रेम ( हरिवंश राय बच्चन)

Pyaar kisi ko karna lekinKeh kar use bataana kya?
Apne ko arpan karna parAur ko apnaana kya?
Gun ka grahak ban-na lekinGa kar use sunaana kya?
Mann ke kalpit bhaavo seAuron ko bhram mein lana kya?
Le lena sugandh sumno kiTod unhe murjhana kya?
Prem haar peh-nana lekinPrem paash failana kya?
Tyaag ank mein pale prem-shishuUn mein swaarth bataana kya?
De kar hriday, hriday paane kiAasha vyarth lagana kya?

Dr. Harivansh Rai Bachchan