Chahat!!!

Friday, March 16, 2007
Chahat!!!

Bheed se alag ek adad(decent) saa mukam chahta hoon
Apni rooh, apna Jism, Apni Jaan chahta hoon
Loot lo tum chahe ye saare sitare
main to Bas ye khula aasmaan chahta hoon.

Tukdon me bant gaya hai ye saara shahar
Bante na mere andar ka insaan chahata hoon..
sone ki ho gayi hai har cheez jahan..
sabut rahe mera Imaan chata hoon..
Apni rooh, apna jism, apni jaan chahta hoon

Mohabbat basti jo jin deewaron me
Unhise ghira ho ye jahan chahta hoon
Poch (wipe out) dalo apni ankhon se ye aanson ae- dost
Sapno ka inme ek aashiyan(home) chahta hoon

Lutere na loot lein tumhare hauslon ko
ki in baajuon me wo fauladi jaan chahta hoon
De sako to de do tum mujhe apna saara dard
Ki tumhare hoton pe main bas muskaan chahta hoon.

Bheed se alag ek adad sa mukaam chahta hoon.
Apni rooh, apna jism apni jaan chahta hoon.




Poetry_hindi Parivaar ko saprem Bhent.
Rajneesh Kumar




0 comments: