HO GAYI HAI PEER PARVAT SI

Thursday, March 15, 2007
HO GAYI HAI PEER PARVAT SI
By Dushyant Kumar

Ho gayi hai peer parvat si, pighalni chaahiye
Is Himalay se koi Ganga nikalnee chaahiye

Aaj yeh deewaar pardo ki tarah hilne lagi
Shart lekin thee ke ye buniyaad hilni chaahiye

Har sadak par, har gali mein, har nagar, har gaanv mein
Haath lahraate hue har laash chalni chaahiye

Sirf hangaama khada karna mera maksad nahi
Saari koshish hai ke YE SOORAT BADALNI CHAAHIYE

Mere seene mein nahi, to tere seene mein sahi
Ho kahin bhi aag, lekin aag jalni chaahiye


0 comments: