PRATEEKSHA(by Harivansh Rai Bachchan)

Tuesday, March 13, 2007
PRATEEKSHA
by Harivansh Rai Bachchan

Madhur Prateeksha hi jab itnee, Priye tum aate tab kya hota?

Maun raat is bhaanti ki jaise, koi geet veena par baj kar
Abhi abhi soi khoi si, sapno mein taaron par sir dhar
Aur dishaaon se prati-dhwaniyaan, Jagrat swaro si aati hain
Kaan tumhaari taan kahin se, yadi sun paate tab kya hota?

Tumne kab di baat, raat ke soone mein tum aane waale
Par aise hi waqt praan mann mere ho uth-te matwaale
Saanse ghoom-ghoom phir-phir se, asmanjas ke kshan ginti hain
Milne ki ghadiyaan tum nishchit yadi kar jaate tab kya hota?

Utsukta ki akulaahat mein, maine palak paanvde daale
Ambar to mash-hoor ki sab din, rahta apne hosh sambhaale
Taaron ki mehfil ne apni, aankh bichha di kis aasha se
Meri maun kuti ko tum aate dikh jaate tab kya hota?

Baith kalpana karta hoon, pag-chaap tumhaari mag se aati
Rag-rag mein chetan-ta ghulkar, aansoo ke kan si jhar jaati
Namak dali sa ghul apna-pan, saagar mein ghul-mil sa jaata
Apni baahon mein bhar kar priye, kanth lagaate tab kya hota?

Madhur Prateeksha hi jab itnee, Priye tum aate tab kya hota?

0 comments: