====ye shabd=======

Saturday, March 17, 2007
ek dard bhare dil ki aawaz hain ye shabd,

ek apno se apno ki baat hain ye shabd,

ek mout se zindgi ki fariyaad hain ye shabd,

ek ashiq ke dard ka haal hain ye shabd,

ek bewafa se wafa ki maang hain ye shabd,

ek sochne samajhne ki baat hain ye shabd,

ye shabd nahin ye to hai kisi k dil k armaan,

armanon ka apne bakhaan hain ye shabd,

ye shabd kisi bhi jati ko nahin mante,

n hindu n muslim n pathaan hain ye shabd,

kabhi jo sochta hun kuchh likhne samajhne ko,

to lagta hai bible,ved or kuraan hain ye shabd,

kon kehta hai ki shabdon me jaan nahi hoti,

har soche hue matlub ki jaan hain ye shabd,

ye shabd khud me itni takat rakhte hain,

{gareeb}ki kalam se ugalte tufaan hain ye shabd,

or mithaas me aise k madhu bhi lage feeka,

koyal si meethi zubaan hain ye shabd,

har ek insaan ki zubaan ki jaan hain ye shabd,

insaanon k insaan honeki pehchaan hain ye shabd

================================================

Rajan {gareeb}



0 comments: