khamosh

Friday, March 16, 2007
Main aksar khamosh rato me tere hi khwab buna karta hun,
Gujarti hai karwaton mein raat na jagta hun na sota hun,
Tujhe hi sochta rehta hai mann tanhaai ke aalam mein,
Main rooz aankhe band kar tera hi deedar kiya karta hun,
Kahi aisa to nahi hai ki main tumse pyar karta hoo?

Tu jo gar muskura de to khushi se joom uthta hai dil,
Tujhe jo dekhu udaas to jal bin machhli sa tadapta hun,
Sukoon milta hai is dil ko kuchh jab tum muskurati ho.
Teri ek muskan paane ko jaan kurbaan kar sakta hun.
Kahi aisa to nahi hai ki main tumse pyar karta hun?

Teri har chaah ko apne sir maathe par rakhta hun,
Mein khud se kahi jyada tera khayal rakhta hun,
khwahish koi apni jab mujhko batati hai tu kabhi,
Teri khwahish ho poori khuda se yahi fariad karta hoo,
Kahi aisa to nahi hai ki mein tumse pyar karta hoo?

Tu jo mil jaati hai mujhse to din accha gujarta hai,
Gar jo na ho baat kisi din to khudse baaten karta hun,
Tu jab aakar mere kaano mein kuch kahti hai meri zindgi,
Teri awaj ke sadke mein apna dil kurbaan karta hun,
Kahi aisa to nahi hai ki mein tumse pyar karta hun?

Teri uss gustakh nazar ko dil se salaam karta hun,
Teri har ek shokhi par mein khud ko nisaar karta hun,
Jab kabhi ho jaati hai hamari mulakaat kisi mood par,
uss-hi ek pal ka main khuda se shukr guzaar karta hun,
Kahi aisa to nahi hai ki mein tumse pyar karta hun?

Tere husn k nikhaar par mann jub koi kavita rachta hai,
to Pyar ke shabdon ko apne panno par utaar leta hun,
Kehne se dil to darta hai magar aaj kehna hi hoga,
Mere hum-dum mein aaj is baat ka ikrar karta hun,
Haa main tumse pyar karta hoo,tumhi se pyar karta hun
"raj"

0 comments: